
Aaj apno ke saath baithi toh yaad aaya
mai bhi kabhi bachhi thi,
kabhi kheli thi unki goud mai..
mai bhi kabhi sachhi thi
unhe yaad hain meri athkheliyaan..
meri vo totli paheliyaan,
kya maloom tha aaj phir banongi vo bachhi..
jisko samjhte the' sab kachhi..
aaj yaad aayi ha vo duniya,
kisi ki aankhon ka sapna
aur unke liye mai 'pagal manva"
ankhon mai jinki mere liye pyaar ha..
vo" pyaari si chachi" aur itna dulaar ha..
shakkarparon mai ghol di ha mithaas
kheti hain ,"kha le beta kahan milti ha tujhe
maa ke haath ki bni vo aas..'
pyaar se parosti hain "dahi bade"
phir poochti hain ,"theek bane"?
kya bolon tumko meri 'PERFECT CHACHI"
ki jo pyaar mujhko tum khane ke saath de rhi ho..
tadpi hoon janmon is maa ke dulaar ko..
sochti thi baith kar..
pyaar se koi mujhe bhi bulata
itne haq se mujhe bhi khilata..
Pyaare chachu ko jab bolo ,
"dashing lag rhe ho!!..khete hain achha setting karva rahi ho?
le gye mujhko vo meri pehli dunia..
jahan thi mai choti si munia..
.kabhi mere bhi chote chote pavn the'..
tables learn karne se tab mai thi darti..
maar khane ke darr se chachu ke peeche chupti..
jeevan ke vo pehle aath saal
pariyon sa jeevan aur vo dulaar..
Sab dhundhla sa gya ha...
Dikhta ha phir bhi aaj dono ki ankhon mai
atoot pyaar..
Kitna tarsi hoon yeh jaan paayi..
jab bole vo ."".beta, kya hua jo tere papa nhi hain
unki jagah mai jo khada hoon.."
kya bolon aapko mere pyaare chachu..
tum aaj se nhi bachpan se khade ho..!
Mera saaya ban ke hamesha rhe ho..
mere jeevan ke har nirnay mai.
tum hi the' jo hardam mere liye lade ho..
Phir bhi kehte ho papa samjhon,?
Tum to vo ho jinka darja mata pita se bada ha..
ki chahe paala unhone par tumne racha ha,
ek naasamjh bachhi ki jeevan disha,
ek nirarthak jeevan ki nayi subha..
Meri ankhen nam hain..
dher sa pyaar dono ki ankhon mai..phir
bhi kehna,"bete aati rehna"!
socha karti thi ki akeli khadi hoon,
barkha ki vo jhadi hoon ,
kisi ka na jisko intezaar ha,
na hi mamta na dulaar ha,
Aaj jo lekar mai aayi hoon sach bolon,
jeevan ki vo saugaat ha..
bhagwaan ne poori ki vo ardaas ha..
mere saath apnon ka sneh aur dulaar ha..
Pooche toh koi yeh rishta kya ha?
EK SOOKHE MARUSTHAL MAIN PEHLI BAAR
BARSAA VO ATI VARSHAN...!